Sea through my eyes… Samundar meri nazar say!


Birds-Sea

Urdu kay lie neechay scroll karain.

Its peaceful to feel the depth of sea when our heart is broken.

Today again I went close to the sea to feel it and to know the truth about it.
Today the sea isnt peaceful, the waves are strong and loud
Oh whats that! The waves completely destroyed the small sand castles built by people! They had done so much hard work to built them, with love and care. They were happy and hopeful but in return what did they get? The waves come so loudly, one wave would come and destroy everything!
My friend asked: Have you noticed how this all links with our lives? We do hard work for this world, we make our lives with love and care, we are hopeful that our lives will be better now but the wave of death comes and takes away everything in seconds! What did he got after working hard to make that sand castle? Nothing except regret, hopelessness and sadness!
My friend again said: The waves comes so loudly and after destroying everything they go away so peacfully! How stupid people are to make these castles with such a hard work knowingly that one wave would come and will destroy it!

I can feel the wind, its cool, its noisy. The same noise is inside us. This wind is making me sad because its noisy but its also making my heart peaceful because its cool. This wind resembles my good deeds which are sometimes heavy for my nafs but when I think about the Face of Allaah they make me peaceful!

Oh this white bird flew by us it was so close! Its sad, do you know why? Because it has lost its way. He came migrating from far away. The love for life made him do this long tiring journey but he lost his way. He was enjoying and was so into the sceneries that he lost his friends.
My friend asked: Now what will happen to this bird?
I said: If this bird knows which way his friends had told him then its fine. He’ll find the way but if not then he would just keep wandering around!
My friend asked: So will it not make a nest here?
I said: No, why would he make a nest. No doubt he’s lost but he knows he has to go where he came from. He’s finding his destiny and he will find it because he’s trying.
Isnt it this bird just like us? We are also lost but we are also trying to find the way. And we will find the way because Allaah knows we are trying!

M friend said: Lets go close to the sea, lets meet it, lets go deep down in its depths…
I resisted, I said why you want to go in it? Its so deep, it will drown us, its like life of this world we shouldn’t go deep in it, lets stay at shore.
My friend said: Its deep but its not harmful, Its not life of this world but its afterlife. The depth of it is unseen. On one side its these people building sand castles at shore but on the other side its us who dont fear the depths but want to go deep down in our Rabb’s Rehmat! We cant imagine what difficulties we’ll face in its depths but we will go in its depths no matter what. And we’ll vanish in these depths and thats success! The people at shore will witness and the sea will witness too!

SubhanAllaah! My friend talked so deeply. I never had this view about depths.
I replied: Its not a good time to go in depths, we have to first prepare ourselves for it so that we can go even more deep. And then after crossing these depths we’ll get to the island (Jannah), our destiny Insha’Allaah

I felt the wet sand under my feet, it was cool.
My friend asked: After having so much water in it, is this sand still thirsty?
I replied: It will remain thirsty forever no matter how much water it absorbs. It has no idea about its needs just like we running after our desires. We have absorbed so much of our desires but still we wish for more and more and more!

This is sea which teach us so many lessons about life, only if we ponder!

Dil jab Udas ho to samunder ki gehrai mehsoos kerne se sukoon milta hai.
Aaj bhi mein iss samander ke qareeb gai isey mehsoos kerne.. iss samander ki haqeeqat pata kerne..
Aaj samander bohat charha hua hai, lehren bohat purjosh hen, shor machati hui idher se udher..
Arey ye kya? in lehron ne aker to kinare pay baney matti ke gharondon ko torr dia, reza reza ker dia.. iske banane wale ne kitni mehnat ki thi ise banane mai, ussne itni mohabbat se usey shakal di, wo shakhs kitna pur-umeed tha magar badley mai usey kya mila? ye pani ki bebaak leher aai or bila jhijhak isko fana kerke chali gai.
Meri Saheli nay kaha: kya tum ne ghor kiya ke ye khail hamari zindagi se kitna milta hai? hum kitne mehnat kerte hen iss zindagi ke liye, kitni mohabbat se isey shakal dete hen, kitne pur-umeed hote hen ke ye zindagi hamari mehnat se khoobsoorat ban jaye gi magar *maut* naam ki leher aker isey ik pal mai khatam ker ke chali jati hai. kya mila iss mitti ke gharonde banane wale ko?
Sirf nadamat, na umeedi aur dukh!
Meri Saheli nay phir kaha: Ye lehren kitne shor se aati hen aur khamoshi se un gharondon ko torr ke wapas chali jati hen. kitnay bewaqoof log hen jo in gharondon ke anjaam ko achi tarah jante hen phir bhi itni mehnat kerte hen isske liye jisey ek mamuli se leher ne torr dena hai…?

Mein hawa ko mehsoos ker rahi hun, kitni thandi hai ye hawa, issme kitna shor hai, ye shor hi to hamare ander hai,. ye hawa mujhe bayak waqt udaas ker rahi hai apne shor se, aur sukun pohancha rahi hai apni thandak se. Ye hawa to mere naik aamal jesi hai, jinko kerte waqt mere nafs ko dukh pohanchta hai kyun ke usey mehnat kerni parti hai magar jab iss baat ka ehsas hota hai ke ye aamaal mere Rubb ko razi karen ge to mujhe sukoon milta hai.

Arey ye safaid parinda kitne pass se urr ke gaya hai. ye to udas hay. pata hai kyun? kyun ke ye bhatak gaya hai, ye bohat door se hijrat kerke aya hai, zinda rehne ki umang ne isey itna lamba safar kerne pe majboor kiya magar ye bhatak gaya hai kyun ke safar kerte waqt iska dheyan idher udher nazaron mai bhatak gaya tha aur ye apne saathiyon se bichar gaya.
Saheli nay poocha: Ab iss parindey ka kya hoga?
Mainay kaha: Agar iss parindey ko yaad raha ke iske saathiyon ne isko konsa raasta bataya tha to ye pohanch jaye ga werna yunhi dar badar hota rahey ga.
Saheli nay phir say poocha: Tou kya wo yahan ghar nahi banaye ga..?
Mene kaha nahi wo yahan ghar kyun banaye ga.. wo bhatka zaroor hai magar wo janta hai ke loat ke isey waheen jana hai jahan se ye aya hai. ye apni manzil dhoond raha hai or ye apni manzil tak pohanch jaye ga kyun ke ye koshish ker raha hai.
Kya ye parinda hamari tarah nahi hai kyun ke hum bhi to rastey se bhatak gaye hen magar hum koshish mai hen raasta dhhoondne ki or humein raasta mil hi jaye ga kyun ke ALLAH dekh raha hai ke hum koshish ker rahe hen.

Saheli ne kaha samunder ke qareeb chalte hen, isse mil ker atey hen, isski gehrai mai utarte hen..
Mene roka! mene kaha kyun utarna hai samunder mai, ye to bohat gehra hai, ye to humein nigal le ga, ye to dunya jesa hai, iski gehrai mai nahi utarna chahiye, KInarey pe rehte hen.
Saheli ne kaha nahi ye gehra to hai magar jaan leva nahi hai. Ye Dunya nahi akhirat hai. Isski gehrai nazron se ojhal hai . ek taraf ye log iss sahil pe bethey gharonde bana rhe hen or ek taraf hum hen jo isski gehrai ki parwah kiye bagher Uss Rubb ki Rehmat mai utarna chahte hen. Bilkul andaza nahi ke konsi mushkilat ayengi iss samunder ki gehrai mai magar isi gehrai mai utarna hai. or isi mai fana hone mai hi kamyabi hai. sahil pe kharey log dekhte reh jayen ge or ye samnder bhi dekhe ga!

Subhan ALLAH! meri Saheli ne kitni gehri baat ki, gehrai ko iss nazar se to mene dekha hi nahi tha. mene Saheli ko jawab diya ke abhi iss gehrai mai utarne ka sahi waqt nahi aya. abhi humein issme utarne ke liye tayyari kerni hai. phir hum ziada ache tareeqe se iss gehrai mai utar payen ge or phir iss gehrai ko paar kerke uss jazeere(JANNAT) pe pohanch payen ge jo hamari manzil hai.
in sha ALLAH!

Mene samander ki geeli rait ko mehsoos kiya, wo bohat thandi thi. Saheli ne poocha ke kya ye rait apne ander itna paani jazb kerne ke baad abhi tak pyasi hai?
mene kaha ye hamesha pyasi rehti hai. jitna paani bhi pee le magar phir bhi pyasi. isey apni zarurat ka andaza hi nahi jese hum apne nafs ke peeche bhaag rahe hen. apne ander apni khuwahishat ko hudh se ziada jazb kerlia hai lekin phir bhi humein *Aur, Aur, Aur* ki tamanna hai.

Ye hai samander jo humein hamari zindagi ke kitne hi sabaq sikhata hai magar sirf us soorat mai ke hum ghor karen!